Sunday 31 August 2014

RIJJAT SAY BACHNA...!

KISE BHI AMAL KI RIJJAT SAY BACHNA
,,
ye nukta shayad hi koi ustad ap ko bata skta ho ,
ap koi bhi amal karen wo likhnay ka ho ya parhnay ka ho to sab se pehle apne kissi hamraz ko jo baat main batane ja raha hon ussay bata kar uss amal mai baithayien hamraz na ho to apne ghar k kissi fard ko bata kar baithyie.

Phir uss amal k Kalam ko Ya Uss k mantra ko chahay woh qurani ayat hai ya koi naksh ki zakat ada kar rahaien hoon. Sab say pehlay uss kalam ko Mushk aur Zafran ki siyahi bana kar aik bhojpatra par likh len jiss musallay pe aap baithayiengay uss k neeche rakh dayien musallay k saamne ki janib.
Apne hamraz ko ya jiss kissi ko bhi aap ne batana hai ussay aap yeh bataye k agar aap ko kissi kism ka koi nuksan hota hai amal k doran k jiss mai aap k hosh o hawas kaam k na rahien uss soorat mai woh shakhs uss bhoj patra ko nikal kar pani mai hal karay aur woh pani aap ko pila day aur agar aap k hosh kaayem hain toh aap khud bhi yeh kaam kar sakhtay hain.
Aur agar aap ne apna amal kamyabi se bina kissi nuksan k poora kar liya tab bhi aap iss ko pi sakhtay hain amal poora karne k baad. Uss se aap k amal mai aur mazeed kuwat paida hogi.
Ap ka
SAHIL

5 comments:

  1. jazakallah bohat umda malomat hai. Allah jii salamat rakhe.

    ReplyDelete
  2. agar boj patar na ho tou kya kagaz ka istimal kar sakte hai

    ReplyDelete
  3. Shukriya jazakallah khair apka bhai Aamil apne rizq ki Aur apne gharwalo ki hifazat kistarha Kare Amil Hume Har chiz se taklif pahonchata hai hum kistarha hisar ko pakka Kare

    ReplyDelete